• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dhup baDhne Ke Jo Aasar Hue

Dhup baDhne Ke Jo Aasar Hue

dhuup baḌhne ke jo asar hue

kitne saa.e ke taraf-dar hue

tap ke kundan vo banenge kaise

jo jhulasne ko na tayyar hue

hai dava ishq to bimari bhi

ham dava ke liye bimar hue

jo na jismon ke talabgar hue

sirf vo vasl ke haqdar hue

qaid se un ko chhuḌa.e kaise

apne hathon jo giraftar hue

na hue gham-zada jo gham se mire

vo baḌe ḳhush hai ki gham-ḳhvar hue

baat karte hain jo aqdar ki vo

jab bhi mauqa mila bazar hue

aa.ine DhunDte ho tum har su

aur ham chehre se bezar hue

tab talak the baḌe naqqad ‘nava’

jab talak ḳhud se na do-char hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jis Bhi Jagah Dekhi Usne Apni Taswir haTa Li Thi

Mere KHuda Kisi Surat Use Mila Mujhse

Tere Dayar Mein Koi Bhi Ham-Zaban Na Mila

Patte Tamam Halqa-E-Sarsar Mein Rah Gae

poet

Agar Baat Teri Ho Pyari Lage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet