kabhi bhule se mumkin ho miri janib agar hona
to auron ki taraf se apni nazren pher kar hona
musalsal hijr ke sadme ye dil ab sah nahin sakta
ghaḌi bhar ka juda hona agar bar-e-digar hona
ghanimat hai ki ik rasmi ta.aruf to mayassar hai
nahin asan kisi mah-vash ka manzur-e-nazar hona
na hona tum kisi ke bhi yahan par ham-safar yaro!
agar hona samajh kar soch kar kuchh dekh kar hona
nahin hai ba.is-e-azar-e-jan tarz-e-amal koi
magar us ka mire baare men akasr be-ḳhabar hona
vo sun lete hain yuun to sher mere ru-ba-ru phir bhi
zaruri to nahin har dil pe sheron ka asar hona
main apni zaat men jaisa bhi huun jo kuchh bhi huun ‘nasir’
farishton se kahin behtar hai mujh sa bhi bashar hona
Leave a Reply