
Shuja Khaavar
us ke aane pe bhi nahin aa.i
dard men kuchh kami nahin aa.i
umr bhar doston ne mehnat ki
par hamen dosti nahin aa.i
apne hi ghar pe aa nikalte hain
ham ko avargi nahin aa.i
doston ke kisi latife par
aaj ham ko hansi nahin aa.i
ham ko bhi shauq zindagi ka tha
kya kahin raas hi nahin aa.i
ab ke aa.i bhi aur ga.i bhi bahar
fasl-e-divangi nahin aa.i
zindagi ban ga.i adu si ‘shuja.a’
aur hamen maut bhi nahin aa.i

Leave a Reply