
Gulzar Dehlvi
na sahi ham pe inayat nahin paimanon ki
khiḌkiyan khul ga.iin ankhon se to mai-ḳhanon ki
aa nahin sakta samajh men kabhi farzanon ki
surḳh-ru kaise jabinen huiin divanon ki
zulf bikhra.e sar-e-sham pareshan hain vo
qismaten auj pe hain chak-garebanon ki
dastan kohkan-o-qais ki farsuda hui
surḳhiyan ham ne badal Daali hain afsanon ki
ankhen to bhiig chukin aur na pyaar aa jaa.e
aur rudad sunen aap na divanon ki
mai-kade aane se pahle ka zamana tauba
ḳhaak chhani hai haram aur sanam-ḳhanon ki
zaḳhm-e-dil ko koi marham bhi na raas aa.ega
har gul-e-zaḳhm men lazzat hai namak-danon ki
jaane kab nikle muradon ki dulhan ki Doli
dil men barat hai Thahri hui armanon ki
zaḳhm par hanste hain ashkon ko guhar kahte hain
aql maari ga.i is daur men insanon ki
kitne momin nazar aate hain sanam-ḳhanon men
ek kafir nahin basti men musalmanon ki
jitni taz.hik tire shahar men apnon ki hui
utni tauhin na hogi kahin beganon ki
raat baḌh baḌh ke jo sham.a pe hue the sadqe
sub.h tak ḳhaak na dekhi ga.i parvanon ki
haram-o-dair ki basti men hai tam.iz-o-nafaq
koi tafriq-e-milal dekhi na divanon ki
log kyuun shahr-e-ḳhamoshan ko khinche jaate hain
jaane kya jaan hai is basti men be-janon ki
ruḳh badalte hain dorahe pe khaḌe hain salar
sa.i-e-nakam to dekhe koi na-danon ki
hatha-chhanTi hai ajab aur ajab luT-khasuT
niyyaten aur hain shayad ki nigahbanon ki
puchhe ‘gulzar’ se hai vo ba-zaban-e-sausan
tum kahan bazm men aa.e ho zaban-danon ki

Leave a Reply