tughyani se Dar jaata huun
jism ke paar utar jaata huun
avazon men bahte bahte
ḳhamoshi se mar jaata huun
band hi milta hai darvaza
raat ga.e jab ghar jaata huun
niind adhuri rah jaati hai
sote sote Dar jaata huun
chahe baad men maan bhi ja.un
pahli baar mukar jaata huun
thoḌi si barish hoti hai
kitni jaldi bhar jaata huun
kitne dinon ki dahlizon se
raat ke saath guzar jaata huun
Leave a Reply