tum bhi dekho jo ham ne dekha hai
shahr men ik naya tamasha hai
raqs karte hue hain log magar
ghunghru patthar ka sab ne bandha hai
saari masrufiyat ki vaj.h vahi
vahi har ḳhvab ka havala hai
sab ḳhayalon ka ek mehvar vo
saare lamhon ka vo shanasa hai
us ko dekha to sochta hi raha
ḳhvab ne vaqi.a tarasha hai
mil ke dekha to silsila ye khula
ḳhud hi dariya hai ḳhud hi pyasa hai
zehn men us ki yaad yuun aa.i
jaise raushan charagh aata hai
Leave a Reply