• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Bhul Kar Bhi Tamanna-E-Rang-O-Bu Karte

Na Bhul Kar Bhi Tamanna-E-Rang-O-Bu Karte

akhtar-shirani

na bhuul kar bhi tamanna-e-rang-o-bu karte

chaman ke phuul agar teri aarzu karte

janab-e-shaikh pahunch jaate hauz-e-kausar tak

agar sharab se mai-khane men vazu karte

masarrat aah tu basti hai kin sitaron men

zamin pe umr hui teri justuju karte

ayagh-e-bada men aa kar vo khud chhalak padta

gar us ke mast zara aur haao hu karte

unhen mafar na tha iqrar-e-ishq se lekin

haya ko zid thi ki vo pas-e-abru karte

pukar uthta vo aa kar dilon ki dhadkan men

ham apne siine men gar us ki justuju karte

gham-e-zamana ne majbur kar diya varna

ye aarzu thi ki bas teri aarzu karte

giran tha saqi-e-dauran pe ek saghar bhi

to kis umiid pe ham khvahish-e-subu karte

junun-e-ishq ki tasir to ye thi ‘akhtar’

ki ham nahin vo khud izhar-e-arzu karte

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Qismat Bure Kisi Ke Na Is Tarah Lae Din

Aasman surKH Hua Nala-E-Shab-Gir Ke Baad

Sufi

Manam Gada Wa Tui Baadshah-e-Banda-Nawaz

Ye Shabnam Phul Tare Chandni Mein Aks Kis Ka Hai

poet

Tufan Ki Zad Pe Apna Safina Jab Aa Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet