tumhari justuju ki hai vahan tak
nahin pahunche jahan vahm-o-guman tak
jo rishte the hamare darmiyan tak
vo le aa.e hamen ab imtihan tak
mohabbat men maqam aaya hai kaisa
ayaan hone ko hai raz-e-nihan tak
nahin milta tira saani kahin bhi
nazar pahunchi hai apni kahkashan tak
palaT kar jab kabhi dekha to samjha
kahan se aa ga.e hain ham kahan tak
sambhal kar baat kiije shaiḳh-ji se
rasa.i un ki hai pir-e-mughan tak
TaTola hai unhon ne dil ko aksar
magar pahunche nahin dard-e-nihan tak
nazar aata hai bas jalva usi ka
pahunchti hai nazar apni jahan tak
ye fasl-e-gul ye bulbul ki asiri
hain fariyadi qafas ki titliyan tak
yaqinan qabil-e-azmat hai ‘ghazi’
na uf ki sun ke us ne galiyan tak
Leave a Reply