lab-e-jan-bakhsh pe dam apna fana hota hai
aaj iisa se ye bimar juda hota hai
zulf ko dast-e-hinai se jo chhuta hai vo shokh
to giraftar vahin dard-e-hina hota hai
tha giraftar-e-shab-o-roz nigahbani men
ham jo ab chhuten hain sayyad riha hota hai
phir bahar aati hai ai khar-e-bayaban khush ho
aaj kal phir guzar abla-pa hota hai
mar gae ham to saba laai javab-e-nama
vahi hota hai jo qismat men likha hota hai
Leave a Reply