• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / bhaTak Rahi Hai Ruh Ke Andar Lazzat Sukhi Gili Si

bhaTak Rahi Hai Ruh Ke Andar Lazzat Sukhi Gili Si

bhaTak rahi hai ruuh ke andar lazzat sukhi giili si

jaise rasta bhuul ga.i ho ek nadi pathrili si

mere us ke biich ka rishta ik majbur zarurat hai

main sukhe jazbon ka indhan vo machis ki tiili si

dekhun kaisi fasl ugata hai mausam tanha.i ka

dard ke biij ki nasl hai unchi dil ki miTTi giili si

darvaze par munh laTka.e qillat rang-o-roghan ki

angan angan jashn mana.e ḳhvahish niili piili si

mujh ko baanT ke rakh deti hai dhuup chhanv ke ḳhemon men

kuchh be-ghairat si masrufi kuchh fursat sharmili si

din bhar ki jan-soz thakan ka ajr chukane ko ‘ḳhurshid’

shaam ke parbat par baiThi hai ik saa.at nokili si

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo KHud Ko Mere Andar DhunDta Hai

poet

Hath Malwati Hain Huron Ko Tumhaari Chudiyan

poet

Ek Ishaare Mein Badal Jata Hai maiKHane Ka Nam

ajay-sahaab

dil Mera Soz-e-Nihan Se Umr Bhar Betab Tha

Shurua Silsila-E-Did Karne Wala Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet