ajab surat se dil ghabra raha hai
hansi ke saath rona aa raha hai
mujhe dil se bhulaya ja raha hai
pasine par pasina aa raha hai
muravvat shart hai ai yad-e-janan
tamannaon ka ji ghabra raha hai
miri ninden to ankhon se uḌa diin
magar ḳhud vaqt soya ja raha hai
adab kar ai gham-e-dauran adab kar
kisi ki yaad men farq aa raha hai
ye aadhi raat ye kafir andhera
na sota huun na jaaga ja raha hai
zara dekho ye sarkash zarra-e-ḳhak
falak ka chand banta ja raha hai
‘siraj’ ab dilkashi kya zindagi men
ba-mushkil vaqt kaaTa ja raha hai
Leave a Reply