kaun ab jaa.e tire paas shikayat le kar
roz aate hain tire ḳhvab mohabbat le kar
is qadar mujh se takalluf ki zarurat kya hai
main agar tujh ko chunga to ijazat le kar
husn be-parda hua aur tavaqqo ye hai
ishq dekhe use ankhon men sharafat le kar
daftar-e-ishq ka sarkari mulazim huun main
lauT ja.unga tiri diid ki rishvat le kar
apna chehra tha kabhi jin ki tamanna ‘yasir’
ab vo kahte hain nikal jaao ye surat le kar
Leave a Reply