• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHamosh Dab-E-Ishq Ko Bulbul Liye Hue

KHamosh Dab-E-Ishq Ko Bulbul Liye Hue

poet

ḳhamosh dab-e-ishq ko bulbul liye hue

gul mast hai chaman men piyala piye hue

imsal fasl-e-gul men vo phir chaak ho ga.e

agle baras ke the jo gareban siye hue

ham bhi hava men ik gul-e-nau-ḳhez-e-husn ke

barson phire hain chaak gareban kiye hue

dokanen mai-faroshon ki kab se paḌi hain band

rah rah ga.e hain qufl diye ke diye hue

ishq-e-sanam hai is men hain ḳhuddariyan zarur

ai dil ḳhuda ke vaste ḳhud ko liye hue

murshid hai ishq ham hain murid us janab ke

barson guzar ga.e hain piyala piye hue

vo aa ke muskura.e is andaz-o-naz se

khul khul ga.e jo zaḳhm-e-jigar the siye hue

roz-e-azal se daḳhl vajud o adam men hai

donon ilaqe hain ye hamare liye hue

hain but-parast dair men haaji hain ka.aba men

talib raza-e-dost ke dharne diye hue

maidan-e-imtihan men hamen bhej dijiye

kahiye unhen ye kaam hain jin ke kiye hue

namard apne vaadi men rakkhega kya qadam

sar ho muhimm-e-ishq na be-sar diye hue

kis kis tarah ka bhes badal kar pahunchte hain

ashiq hue na aap ke bahrupiye hue

hasil hua buton se na ashiq ko mudda.a

raushan kabhi na dair men ghē ke diye hue

ta.aviz o naqsh kuchh nahin karte asar vahan

saare ye khaTkhaTe hain hamare kiye hue

ik shab hui nasib-e-sulaiman na jo pari

ham roz so.e us ko baghal men liye hue

ankhon men phirti hain jo vo ankhen nashilyan

do botalon ki masti hai be-mai piye hue

bandha jo chust chust mazamin-e-nau ke saath

bandish se meri tang bahut qafiye hue

ashiq mizaj rote hain paḌh paḌh ke beshtar

ash.ar ‘rind’ ke na hue marsiye hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kheton Ke Beach Phul Ke Bistar Ke Aas-Pas

Gardish Mein Zahr Bhi Hai Musalsal Lahu Ke Sath

Aur Na Dar-Ba-Dar Phira Aur Na Aazma Mujhe

Apni Hi Aarzuon Se Ek Jang Hai Hayat

Na-Ehtiram Ka Bas Ehtiram Kar baiThe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet