• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aise Ghar Mein Rah Raha Hun Dekh Le Be-Shak Koi

Aise Ghar Mein Rah Raha Hun Dekh Le Be-Shak Koi

aise ghar men rah raha huun dekh le be-shak koi

jis ke darvaze ki qismat men nahin dastak koi

yuun to hone ko sabhi kuchh hai mire dil men magar

is dukan par aaj tak aaya nahin gahak koi

vo ḳhuda ki khoj men ḳhud aḳhiri had tak gaya

ḳhud ko paane ki magar koshish na ki anthak koi

baagh men kal raat phulon ki haveli luT ga.i

chashm-e-shabnam se chura kar le gaya ThanDak koi

de gaya ankhon ko farsh-e-rah banne ka sila

de gaya bina.i ko saughat men dimak koi

ek bhi ḳhvahish ke hathon men na mehndi lag saki

mere jazbon men na dulha ban saka ab tak koi

vo bhi ‘sajid’ tha mire jazbon ki chori men sharik

us ki janib kyuun nahin uTThi nigah-e-shak koi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Na Hoti Haal-E-dil Kahne Ki Gar Himmat To Achchha Tha

poet

Main Wo Majnun Hun Ki Aabaad Na Ujda Samjhun

Riya-Kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge

Is Shahr-E-Be-Awaz Mein Wo Raat Bhi Guzri

Sharik-E-Gham Koi Kab Moatabar Nikalta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet