soz-e-dil har shab hamen apna hi batlati hai shama
dil ka jalna ham dikhate hain to jal jaati hai shama
ye dhuan niin dard se bharti hai aahen jan-gudaz
kis nazakat saat ek ek ashk tapkati hai shama
sar-site paanv talak gharq-e-araq be-vajh niin
be-hijab us shola-ru ko dekh sharmati hai shama
shola-ru ke dekhne ki yaan talak mushtaq hai
paanv tak sar se laga kar aankh ban jaati hai shama
‘ishq’ parvane ke matam men vo apne baal khol
soz-e-dil se aah kya rone men bhar jaati hai shama
Leave a Reply