phulon pe raqs aur na baharon pe raqs kar
gulzar-e-hast-e-bud men kharon pe raqs kar
ho kar jumud-e-gulshan-e-jannat se be-niyaz
dozakh ke be-panah shararon pe raqs kar
sham-e-sahar fusun-e-tabassum, hayat-e-gul
fitrat ke in ajiib nazaron pe raqs kar
tanzim-e-kaenat-e-junun ki hansi uda
ujde hue chaman ki baharon pe raqs kar
sahmi hui sada-e-dil-e-na-tavan na sun
bahki hui nazar ke isharon par raqs kar
jo mar ke ji rahe the tujhe un se kya gharaz
tu apne ashiqon ke mazaron pe raqs kar
har har ada ho ruuh ki gahraiyon men gum
yuun rang-o-bu ki rah-guzaron pe raqs kar
tu apni dhun men mast hai tujh ko batae kaun
teri zamin falak hai sitaron par raqs kar
is tarah raqs kar ki sarapa asar ho tu
koi nazar uthae to pesh-e-nazar ho tu
Leave a Reply