be-kaif dil hai aur jiye ja raha huun main
khali hai shisha aur piye ja raha huun main
paiham jo aah aah kiye ja raha huun main
daulat hai gham zakat diye ja raha huun main
majburi-e-kamal-e-mohabbat to dekhna
jiina nahin qubul jiye ja raha huun main
vo dil kahan hai ab ki jise pyaar kijiye
majburiyan hain saath diye ja raha huun main
rukhsat hui shabab ke hamrah zindagi
kahne ki baat hai ki jiye ja raha huun main
pahle sharab ziist thi ab ziist hai sharab
koi pila raha hai piye ja raha huun main
Leave a Reply