baġhair tole paroñ ko uḌaan mat lenā
zamīn vaalo kabhī āsmān mat lenā
ye bām-o-dar bhī agar jism ke pighal jaa.eñ
kisī se bhiik meñ tum sā.ebān mat lenā
bahut aziim hunar hai ye ḳhāksārī bhī
tum apne sar pe magar ḳhāk-dān mat lenā
bas ab to poñchh lo gard-e-malāl chehre se
kisī ke zabt kā phir imtihān mat lenā
jahāñ pe log bahut bā-shu.ūr hote haiñ
ḳhulūs-e-dil kā vahāñ imtihān mat lenā
nibāh aap agar chāhte haiñ duniyā se
kahīñ bhī shart koī darmiyān mat lenā
jo kah sako to kaho varna chup raho ‘asrār’
kahīñ se qarz meñ lafz-e-bayān mat lenā