dil yahan bhi mubtala-e-zulf-e-pechan ho gaya
khana-e-ahbab bhi ‘aughat’ ko zindan ho gaya
phans gaya dil ek tifl-e-mahjabin ke daam men
jis ko ham daana samajhte the vo nadan ho gaya
sab dar-o-divar vahshat-nak aate hain nazar
ham ko ai majnun hamara ghar bayaban ho gaya
vo rahe ankhon men meri main na dekhun ghair ko
ye hamare aur un ke ahd-o-paiman ho gaya
sang-bosi ki haram men shaikh ne to hai savab
ham agar bosa buton ka len to isyan ho gaya
jab koi sakhti padi aur ham ne ya-‘varis’ kaha
kaam jo mushkil nazar aata tha asan ho gaya
hai khuda ki shaan ‘aughat’ sa musalman aadmi
un buton ki yad-e-ulfat men bad-iman ho gaya
Leave a Reply