bahut shiddat se jo qaa.em hua tha
vo rishta ham men shayad jhuuT ka tha
mohabbat ne akela kar diya hai
main apni zaat men ik qafila tha
miri ankhon men barish ki ghuTan thi
tumhare paanv badal chumta tha
tumhari hi gali ka vaqi.a hai
main pahli baar jab tanha hua tha
khujuron ke daraḳhton se bhi uncha
mire dil men tumhara martaba tha
mohabbat is liye bhi ki ga.i thi
hamara sher kahna mas.ala tha
mujhe ik phuul ne samjha.i duniya
jo tere sabz baghon men khila tha
zuhur-e-adam-o-havva se pahle
hamare vaste sab kuchh naya tha
zamin par jab zamini mas.ale the
to barish bhi mukammal vaqi.a tha
qadam uThne men kitni barkaten thiin
aur un hathon men kaisa za.iqa tha
phir is ke ba.ad raste mar ga.e the
main bas ik saans lene ko ruka tha
Leave a Reply