bas-ki ik jins-e-raegan huun main
jitna arzan bikun giran huun main
na yahan aur na ab vahan huun main
kya bataun tumhen jahan huun main
yaad men hai kisi ki istighraq
kaun pahunche vahan jahan huun main
madad ai naghma-sanji-e-bulbul
kab se gum-karda ashiyan huun main
dhab hai ye yaar tak pahunchne ka
kaash qasid hi ka bayan huun main
nai ki manind khushk hain aaza
kyuun na sar-ta-ba-pa fughan huun main
lutf paaya hai khaksari men
huun zamin go ki asman huun main
kis ne jalva dikha diya hai aaj
zamzama-sanj-e-al-aman huun main
ta-kuja tez-gamiyan bas kar
tausan-e-shauq ham-inan huun main
gard deti hai karvan ka pata
yadgar-e-guzishtagan huun main
jaan kyunkar nisar-e-maqdam ho
ab vo aae ki nim-jan huun main
kya nahin yaad barq ka girna
phir banata jo ashiyan huun main
ye safar dekhiye kahan ho tamam
misl-e-reg-e-ravan ravan huun main
koi is ahd men nahin hai shafiq
aap apne pe mehrban huun main
dekh pachhtaega na le ke mujhe
maya-e-nazish-e-dukan huun main
ishq men sau balaen liin sar par
apne haq men khud asman huun main
qadr kyuun khvan-e-dahr par ho miri
sach hai na-khvanda mehman huun main
avval-e-shab hi hijr men un ke
dhundhta khanjar-o-sinan huun main
na tala us ke dar se ai ‘majruh’
dusra sang-e-astan huun main
Leave a Reply