jo dahr ki nazar men ḳhudavand-e-hosh hai
is intiha-e-zulm pe vo bhi ḳhamosh hai
sahra ki manzilon se pare hai vo lala-zar
parde men jis ki rut ke koi mai-farosh hai
tahzib ustuvar ki ḳhvahish ki raah men
nam-e-digar hayat ka josh-o-ḳharosh hai
kal tu sunega zulm se mera mukalima
apna jahan aaj hi muhtaj-e-gosh hai
insan pukarta hai koi inqalab aa.e
patthar ki baat aur hai patthar ḳhamosh hai
Leave a Reply