na jaane kitni rivayaten munhadim huiin hain
bapa jahan bhi hai shor-e-mahshar khaḌa hua huun
ye kaisa manzar hai us ko kis zaviye se dekhun
ki ḳhud bhi is da.ere ke andar khaḌa hua huun
ab is nazare ki taab la.un to kaise la.un
vahi hai maidan vahi hai lashkar khaḌa hua huun
hazar tufan-e-barq-o-baran hain sahilon par
liye hue ik shikasta langar khaḌa hua huun
Leave a Reply