tum har ik rang men ai yaar nazar aate ho
kahin gul aur kahin khaar nazar aate ho
qabil-e-did tum ai yaar nazar aate ho
chashm-e-bad-dur trahdar nazar aate ho
suraten karte ho ai jaan hazaron paida
tum nai shakl se har baar nazar aate ho
bhuul jaata huun main furqat ke gile aur shikve
shukr karta huun jab ai yaar nazar aate ho
aaina dekhne ko jab nahin milta tum ko
apni tum tishna didar nazar aate ho
kahte ho ham nahin karte hain koi farmaish
jaan tak lene ko tayyar nazar aate ho
khuun kisi ashiq-e-kushta ka chadha hai sar par
rang laae hue ai yaar nazar aate ho
band ho jaaen na raste kahin divanon se
baal khole sar-e-bazar nazar aate ho
rahti hain aath pahar aap ko kanghi choti
apni zulfon men giraftar nazar aate ho
khauf se burj men jallad-e-falak chhupta hai
tum jo bandhe hue talvar nazar aate ho
sumbulistan hain miri jaan sarasar zulfen
rukh-e-gul-rang se gulzar nazar aate ho
aabru husn ki daulat se mili hai tum ko
rang kundan sa hai zardar nazar aate ho
kya hai be-yar khatakte ho miri ankhon men
ai gulo baagh men tum khaar nazar aate ho
shaan hai gesuon se aap men sardari ki
sabza-e-khat se numudar nazar aate ho
aise maashuq zamane men kahan milte hain
pyaar karne ke saza-var nazar aate ho
dono gesu pae ashiq hain kamanden dohri
pech men laoge ayyar nazar aate ho
tap-e-ulfat men ‘saba’ hai ye tumhara darja
diq ke asar hain bimar nazar aate ho
Leave a Reply