jismon ki mehrab men rahna paḌta hai
ek musalsal ḳhvab men rahna paḌta hai
apni gahra.i bhi naap nahin sakte
aur hamen payab men rahna paḌta hai
ruhon par mal kar duniya ke sannaTe
avazon ke baab men rahna paḌta hai
umDa rahta hai jo teri ankhon men
aise bhi sailab men rahna paḌta hai
angḌa.i lete hain mujh men saat falak
afaqi girdab men rahna paḌta hai
janam nikal jaate hain ḳhud se milne men
ek safar nayab men rahna paḌta hai
Leave a Reply