• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaj Hai Isar Ka Jazba Jo Parwanon Ke Pas

Aaj Hai Isar Ka Jazba Jo Parwanon Ke Pas

poet

aaj hai isar ka jazba jo parvanon ke paas

thi kabhi ye daulat-e-bedar insanon ke paas

aql hai ik astin ka saanp farzanon ke paas

be-ḳhudi kitni baḌi daulat hai divanon ke paas

kis ki hai duniya ye aḳhir sahab-e-ḳhana hai kaun

mezban dekha nahin koi bhi mehmanon ke paas

azmat-e-divangi ka shor farzanon men hai

hai ghanimat ye bhi rah jaa.e jo divanon ke paas

sham.a raushan ho ga.i aa jaao jalne ke liye

ye ḳhabar jaata hai le kar kaun parvanon ke paas

gaahe abadi ke siine tak chale aate hain dasht

gaahe abadi pahunch jaati hai viranon ke paas

ashk-e-hasrat soz-e-gham dard-e-mohabbat dagh-e-dil

kya nahin sab kuchh hai tere ḳhasta samanon ke paas

tum na gar aate to khinch jaate sanam-ḳhane vahin

tum ne ḳhud tauhin ki aa kar sanam-ḳhanon ke paas

naḳhuda kashti ke ruḳh ko moḌ langar kaaT de

mujh ko sahil sa nazar aata hai tufanon ke paas

dekhen ab begane karte hain ishara kis taraf

mujh ko apnon ne to pahunchaya hai beganon ke paas

‘raaj jaane kis tarah karte hain sajde barahman

main to ban jaata huun but ja kar sanam-ḳhanon ke paas

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ehsas Pe Bojhal Kuchh Sadmat Ka Qissa Hai

poet

Khuban-E-Fusun-Gar Se Hum Uljha Nahin Karte

Jalte-Bujhte Hue Makanon Se

Ghera Dale Hue Hai Dushman Bachne Ke Aasar Kahan

afroz-alam

dawam

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet