• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Main Use Waqif-E-Ulfat Na Karun

Main Use Waqif-E-Ulfat Na Karun

noon-meem-rashid

sochta huun ki bahut sada-o-masum hai vo

main abhi us ko shanasa-e-mohabbat na karun

ruuh ko us ki asir-e-gham-e-ulfat na karun

us ko rusva na karun vaqf-e-musibat na karun

sochta huun ki abhi ranj se azad hai vo

vaqif-e-dard nahin khugar-e-alam nahin

sahar-e-aish men us ki asar-e-sham nahin

zindagi us ke liye zahr bhara jaam nahin

sochta huun ki mohabbat hai javani ki khizan

us ne dekha nahin duniya men baharon ke siva

nikhat-o-nur se labrez nazaron ke siva

sabza-zaron ke siva aur sitaron ke siva

sochta huun ki gham-e-dil na sunaun us ko

samne us ke kabhi raaz ko uryan na karun

khalish-e-dil se use dast-o-gareban na karun

us ke jazbat ko main shoala-ba-daman na karun

sochta huun ki jala degi mohabbat us ko

vo mohabbat ki bhala taab kahan laegi

khud to vo atish-e-jazbat men jal jaegi

aur duniya ko is anjam pe tadpaegi

sochta huun ki bahut sada-o-masum hai vo

main use vaqif-e-ulfat na karun

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tah-E-Mazar Kaun Hai Sar-E-Mazar Kaun Tha

poet

Hamare Sath Zamana Bhi Chalne Lagta Hai

Kaun Darwaza Khula Rakhta Barae Intizar

poet

Aa Ke Sajjada-Nashin Qais Hua Mere Baad

poet

Manzil-E-Ishq Ke Rahbar Kho Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet