vo harf-e-shauq huun jis ka koi siyaq na ho
samajh sako na agar ishq ka miraq na ho
tire firaq se manus ho ke sochta huun
tiri vafa ki tarah ye bhi ik mazaq na ho
juda na hon jinhen yarana ho juda.i ka
milen na vo jinhen milne ka ishtiyaq na ho
hazar shauq tira kam ho par ḳhuda na dikha.e
vo din ki teri juda.i bhi dil pe shaaq na ho
bhala hua ki gham-e-ashiqi shi.ar kiya
vo kya kare jo kisi bhi hunar men taaq na ho
Leave a Reply