dard jab dil men sama jaata hai
lazzat-e-zist baḌha jaata hai
ḳhun-e-ma.asum se divaron par
gham ka afsana likha jaata hai
ab to har jazba-e-bebak ka bhi
hausla past hua jaata hai
jaane kyuun mujh ko haya aati hai
vaar jab un ka ḳhata jaata hai
gham-e-ayyam ka har ik manzar
shiddat-e-dard baḌha jaata hai
rafta rafta dil-e-divana bhi
mahram-e-raz hua jaata hai
be-gunahon ka bhi ab to ‘farigh’
jiina dushvar hua jaata hai
Leave a Reply