hunar diya bhi nahin le liya anguTha bhi
baḌe kamal ki fankar hai ye duniya bhi
hazar alam-e-hairat karun nisar us par
nazar to aa.e koi chehra a.ina sa bhi
main apni raah ki divar ḳhud banata huun
mira vajud mujhe iinT bhi hai gaara bhi
bula raha huun sabhi ko ki mere saath aa.en
na aaya koi to main chal paḌunga tanha bhi
mira zamir mujhe ye yaqin dilata hai
ki tha zaval men thoḌa qusur mera bhi
kisi ka saath koi umr bhar nahin deta
giran-baha hai rifaqat ka ek lamha bhi
Leave a Reply