kuchh na kuchh silsila hi ban jaata
ret par naqsh-e-pa hi ban jaata
kis ne kaghaz pe likh diya mujh ko
is se behtar sada hi ban jaata
zindagi ki radif mushkil thi
main faqat qafiya hi ban jaata
ashk kuchh der ko hi tham jaate
kaam bigḌa hua hi ban jaata
kashtiyan to ḳhuda chalata hai
kaash main naḳhuda hi ban jaata
kya mila mujh ko nekiyon ka sila
achchha hota bura hi ban jaata
manzilon ki kise tamanna thi
bhiiḌ men rasta hi ban jaata
ab to bas ye hava ki koshish hai
ek badal ghana hi ban jaata
main bhi chehra agar haTa leta
aa.ina aa.ina hi ban jaata
ham zara aur sabr kar lete
dard shayad dava hi ban jaata
ham se divane gar nahin hote
shahr ye hadsa hi ban jaata
Leave a Reply