husn jitna hi saada hota hai
gesu-e-na-kushada hota hai
jab kabhi shaghl-e-bada hota hai
ek aalam ziyada hota hai
jab vo aate hain zindagi ke qarib
dil bhi dur-uftada hota hai
kya ḳhabar ye fashurda-e-angur
kitna ḳhuun ho ke baada hota hai
un ka jalva na duur hai na qarib
nuur hai kam ziyada hota hai
husn hota hai sada-o-rangin
ishq rangin-o-sada hota hai
gungunata huun fursaton men ‘nushur’
sher tanha.i-zada hota hai
Leave a Reply