• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Waqt Raste Mein khaDa Hai Ki Nahin

Waqt Raste Mein khaDa Hai Ki Nahin

vaqt raste men khaḌa hai ki nahin

dil se ab puchh ḳhuda hai ki nahin

sohbat-e-shisha-garan hai inkar

sang a.ina bana hai ki nahin

har kiran vaqt-e-sahar kahti hai

rauzan-e-dil koi va hai ki nahin

rang har baat men bharne vaalo

qissa kuchh aage baḌha hai ki nahin

zindagi jurm bani jaati hai

jurm ki koi saza hai ki nahin

dost har aib chhupa lete hain

koi dushman bhi tira hai ki nahin

zaḳhm-e-dil manzil-e-jan tak aa.e

sang-e-rah saath chala hai ki nahin

kho ga.e raah ke sannaTe men

ab koi dil ki sada hai ki nahin

ham tarasne lage bu-e-gul ko

kahin gulshan men saba hai ki nahin

hukm-e-hakim hai ki ḳhamosh raho

bolo ab koi gila hai ki nahin

chup to ho jaate hain lekin ‘baqi’

is men bhi apna bhala hai ki nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Qurbaten Nahin Rakkhin Fasla Nahin Rakkha

Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair

Ai Dost Ek Nigah Teri Kya Badal Gai

bashir-badr

Mere dil Ki Rakh Kured Mat Ise Muskura Ke Hawa Na de

Patthar Ke Ratjage Meri Palkon Mein gaD Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet