nahin malum kya vajib hai kya farz
mire mazhab men hai teri raza farz
shuur-e-hasti-e-mauhum hai kufr
fana baad-e-fana baad-e-fana farz
nahin agah mast-e-bada-e-shauq
kahan sunnat kidhar vajib kuja farz
reh-e-taslim men az-ru-e-fatva
dua vajib pa tark-e-muddaa farz
na chhute kufr men bhi vaz-e-iman
ki har halat men hai yad-e-khuda farz
nahin dekha kisi ne husn-e-mastur
ba-qadr-e-fahm lekin kar liya farz
na manunga na manunga kabhi main
mujhe karte hain kyuun us se juda farz
na kholunga na kholunga zaban ko
ki hai ikhfa-e-raz-e-dilruba farz
bala se koi maane ya na maane
chalo ham kar chuke apna ada farz
Leave a Reply