yuun laga dekh ke jaise koi apna aaya
thi nigahon men jo surat koi vaisa aaya
din guzare to bahut kaaT diye mah-o-sal
apne ghar men na koi aap ke jaisa aaya
aisa mahaul ki pal bhar na jahan ruk paa.e
kya kabhi aap ko is tarah bhi jiina aaya
jo kiya ham ne vo sab tum ne bhulaya kaise
itne ehsanon ka badla na chukana aaya
zindagi kaaT di ḳhud apni hi tarifon men
dusra kya hai samajhna bhi na itna aaya
tursh-rui se mila aap ko kya kya ab tak
aap ko ye bhi to ab tak na samajhna aaya
hai ḳhuda ek to phir kis ki parastish karte
dusra naam ‘vasiya’ ko na japna aaya
Leave a Reply