nae uslub men zinda hue hain
tabhi to harf-e-ainda hue hain
tulu-e-sub.h ki ummid kam thi
dua-e-shab se tabinda hue hain
na kaam aaya jahan arz-e-hunar bhi
lab-e-iz.har sharminda hue hain
badan men jiite ji jo mar gae the
vo apni ruuh men zinda hue hain
hamari shoalagi sab se juda hai
bujhe hain ham to sozinda hue hain
mita sakta nahin jin ko zamana
kuchh aise naqsh-e-painda hue hain
hamen sud-o-ziyan se kya ‘sukhan’ ham
na yabinda na girinda hue hain
Leave a Reply