
Aziz Nabeel
guzarne vaali hava ko bata diya gaya hai
ki ḳhushbuon ka jazira jala diya gaya hai
zamin ki aankh ka naqsha bana diya gaya hai
aur ek tiir faza men chala diya gaya hai
usi ke dam se tha raushan sipah-e-shab ka alam
vo chand jis ko zamin men daba diya gaya hai
vo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin
us ek raaz se parda uTha diya gaya hai
tumhen pata nahin ḳhana-ba-dosh ummido?
naya ilaqa sar-e-jan basa diya gaya hai
jahan hua tha basarat ka qatl-e-am ‘nabil’
vahan ik a.ina-ḳhana bana diya gaya hai

Leave a Reply