miri be-ḳhudi hai vo be-ḳhudi ki ḳhudi ka vahm-o-guman nahin
ye surur-e-saghar-e-mai nahin ye ḳhumar-e-ḳhvab-e-giran nahin
jo zuhur-e-alam-e-zat hai ye faqat hujum-e-sifat hai
hai jahan ka aur vajud kya jo tilism-e-vahm-o-guman nahin
ye hayat alam-e-ḳhvab hai na gunah hai na savab hai
vahi kufr-o-din men ḳharab hai jise ilm-e-raz-e-jahan nahin
na vo ḳhum men baade ka josh hai na vo husn jalva-farosh hai
na kisi ko raat ka hosh hai vo sahar ki shab ka guman nahin
vo zamin pe jin ka tha dabdaba ki buland arsh pe naam tha
unhen yuun falak ne miTa diya ki mazar tak ka nishan nahin
Leave a Reply