na baḌh sakenge qadam kahan tak na uTh sakegi nigah kab tak
mire junun ki hansi uḌaya karenge ye mehr-o-mah kab tak
gham-e-mohabbat ki dastaras se nikal chuka ab gham-e-zamana
tiri nigahen bhi de sakengi dil-e-hazin ko panah kab tak
har ek lahza har ek saa.at na.e havadis na.e masa.ib
ye zindagi hai to zindagi se karega koi nibah kab tak
tujhe mubarak tire irade ye raaz mujh ko magar bata de
tiri mashiyyat rahegi ya-rab mire liye sadd-e-rah kab tak
ye qafile jo ravan-davan hain abhi kahan the abhi kahan hain
junun salamat agar hai ‘rahi’ to koi rokega raah kab tak
Leave a Reply