ba-har-surat mohabbat ka yahi anjam dekha hai
ki jaan de kar bhi insan ko yahan nakam dekha hai
jahan pahunchi hain parde chaak kar ke ishq ki nazren
kahan tu ne vo manzar ai nigah-e-am dekha hai
nigah-e-yar ko barham kiya hai main ne ḳhud akasr
kabhi jo dard ko dil ke zara aram dekha hai
labon tak mere baḌh ke ḳhud hi aa pahuncha hai ai saaqi
nazar bhar kar kabhi main ne jo su-e-jam dekha hai
kiya hai munkir-o-sarkash ko bhi sairab duniya men
tire abr-e-karam ne kis ko tishna-kam dekha hai
dil-o-jan kar diye nazr-e-nigah-e-naz bas main ne
na kuchh aghaz dekha hai na kuchh anjam dekha hai
mariz-e-gham ki halat dekhne vaale ye kahte hain
ki be-hoshi men bhi lab par tumhara naam dekha hai
ye apni muḳhtasar hai ‘ashk’ rudad-e-rah-e-ulfat
ki bas nakamiyon ko saath har har gaam dekha hai
Leave a Reply