bahs men donon ko lutf aata raha
mujh ko dil main dil ko samjhata raha
un ki mahfil men dil-e-pur-iztirab
ek sho.ala tha jo tharrata raha
maut ke dhoke men ham kyuun aa ga.e
zindagi ka bhi maza jaata raha
na-shagufta hi rahi dil ki kali
mausam-e-gul bar-ha aata raha
jab se tum ne dushmani ki iḳhtiyar
e’tibar-e-dosti jaata raha
apni hi zid ki dil-e-betab ne
un ke dar tak bhi main samjhata raha
jaur to ai ‘josh’ aḳhir jaur hai
lutf bhi un ka sitam Dhata raha
Leave a Reply