gae sab bhuul shikve dekh ru-e-yar kya kahiye
zaban hairat se meri ho gai be-kar kya kahiye
tabassum men jo us ka munh khula dil bandh gaya vohin
mira dil le gaya hanste hi hanste yaar kya kahiye
agar us ki jagah pahlu men hota khaar behtar tha
bahut deta hai mera dil mujhe azar kya kahiye
jala kar ashiyan is fasl-e-gul men baghban mera
jahannum tu ne mujh par kar diya gulzar kya kahiye
‘yaqin’ ke vaqiye ki sun khabar vo bad-guman bola
ye divana to kuchh aisa na tha bimar kya kahiye
Leave a Reply