ai himala ai fasil-e-kishvar-e-hindustan
chumta hai teri peshani ko jhuk kar asman
tujh men kuchh paida nahin derina rozi ke nishan
tu javan hai gardish-e-sham-o-sahar ke darmiyan
ek jalva tha kalim-e-tur-e-sina ke liye
tu tajalli hai sarapa chashm-e-bina ke liye
imtihan-e-dida-e-zahir men kohistan hai tu
pasban apna hai tu divar-e-hindustan hai tu
matla-e-avval falak jis ka ho vo divan hai tu
su-e-khalvat-gah-e-dil daman-kash-e-insan hai tu
barf ne bandhi hai dastar-e-fazilat tere sar
khanda-zan hai jo kulah-e-mehr-e-alam-tab par
teri umr-e-rafta ki ik aan hai ahd-e-kuhan
vadiyon men hain tiri kaali ghataen khema-zan
chotiyan teri surayya se hain sargarm-e-sukhan
tu zamin par aur pahna-e-falak tera vatan
chashma-e-daman tira aina-e-sayyal hai
daman-e-mauj-e-hava jis ke liye rumal hai
abr ke hathon men rahvar-e-hava ke vaste
taziyana de diya barq-e-sar-e-kohsar ne
ai himala koi bazi-gah hai tu bhi jise
dast-e-qudrat ne banaya hai anasir ke liye
haae kya fart-e-tarab men jhumta jaata hai abr
fil-e-be-zanjir ki surat uda jaata hai abr
jumbish-e-mauj-e-nasim-e-subh gahvara bani
jhumti hai nashsha-e-hasti men har gul ki kali
yuun zaban-e-barg se goya hai us ki khamushi
dast-e-gul-chin ki jhatak main ne nahin dekhi kabhi
kah rahi hai meri khamoshi hi afsana mira
kunj-e-khalvat khana-e-qudrat hai kashana mira
aati hai naddi faraz-e-koh se gaati hui
kausar o tasnim ki maujon ko sharmati hui
aina sa shahid-e-qudrat ko dikhlati hui
sang-e-rah se gaah bachti gaah takrati hui
chhedti ja is iraq-e-dil-nashin ke saaz ko
ai musafir dil samajhta hai tiri avaz ko
laila-e-shab kholti hai aa ke jab zulf-e-rasa
daman-e-dil khinchti hai absharon ki sada
vo khamoshi shaam ki jis par takallum ho fida
vo darakhton par tafakkur ka saman chhaya hua
kanpta phirta hai kya rang-e-shafaq kohsar par
khush-numa lagta hai ye ghaza tire rukhsar par
ai himala dastan us vaqt ki koi suna
maskan-e-aba-e-insan jab bana daman tira
kuchh bata us sidhi-sadhi zindagi ka majra
daagh jis par ghaza-e-rang-e-taklluf ka na tha
haan dikha de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
daud pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyam tu