harim-e-dil se nikal aankh ke sarab men aa
miri tarah kabhi maidan-e-iztirab men aa
payambaron ki zabani kahi suni ham ne
vo kah raha tha ki mere bhi intikhab men aa
suna hai aaj amari falak se utregi
mujhe bhi niind gar aae to mere khvab men aa
tujhe khudai ka daava hai gar to kam se kam
zamin par koi din rang-e-bu-turab men aa
abhi hain saare savalat tishna-kam mire
utha ke kandhe pe miina mire javab men aa
utaar di hain bhanvar men bhi kashtiyan ham ne
samundaron men agar hai to is habab men aa
Leave a Reply