• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mohabbat Ke Safar Mein Be-ruKHi Se choT Lagti Hai

Mohabbat Ke Safar Mein Be-ruKHi Se choT Lagti Hai

mohabbat ke safar men be-ruḳhi se choT lagti hai

jise ham pyaar karte hain usi se choT lagti hai

zarurat se ziyada guftugu achchhi nahin lagti

zarurat se ziyada ḳhamushi se choT lagti hai

mujhe be-ḳhvab raton se koi shikva nahin phir bhi

andhera Dasta hai aur chandni se choT lagti hai

shikasta aur suuni khiḌkiyan avaze kasti hain

guzarta huun main jab is ki gali se choT lagti hai

tumhare saath bhi aisa ho to hairan mat hona

kisi se milti hai rahat kisi se choT lagti hai

yahan sab apni fitrat ke sabab pahchane jaate hain

shikari zehniyat ko sadgi se choT lagti hai

kabhi hairan rah jaata huun zalim ki jasarat par

kabhi ‘ma.asum’ apni buzdili se choT lagti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Siyah Shaal Pe Jo Ashk kaDhta Hoga

Usi Kinara-E-Hairat-Sara Ko Jata Hun

Wahi Tawil Si Rahen Safar Wahi Tanha

Kabhi Jab Dastan-E-Gardish-E-Ayyam Likhta Hun

Umr Bhar Bahte Hain Gham Ke Tund-Rau Dhaaron Ke Sath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet