Tere Baghair Hai Ab Ye Meri KHushi Ai Dost

tire baġhair hai ab ye mirī ḳhushī ai dost

ḳhushī mile na mujhe umr bhar kabhī ai dost

tirā ḳhayāl thā maqsūd-e-zindagī apnā

tirī talab thī añdhere meñ raushnī ai dost

ab is ke ba.ad kise aarzū hai jiine kī

tirī nigāh-e-karam tak thī zindagī ai dost

tirī judā.ī meñ aksar ye sochtā huuñ maiñ

na jaane kaise kaTegī ye zindagī ai dost

jo tujh ko DhūñDhnā chāhā to kyā gunāh kiyā

tirī talāsh koī jurm to na thī ai dost

hañsā bhī huuñ maiñ bahut is hayāt-e-fānī meñ

ab aa.egī na laboñ par kabhī hañsī ai dost

baḌā sitam hai mile tujh se tere ‘shāriq’ ko

tire jamāl se mahrūm zindagī ai dost

Leave a Comment