khulta nahin ki ham men ḳhizan-dida kaun hai
asudgi ke baab men ranjida kaun hai
amadgi ko vasl se mashrut mat samajh
ye dekh is saval pe sanjida kaun hai
dekhun jo a.ina to ghunuda dikha.i duun
main ḳhvab men nahin to ye ḳhvabida kaun hai
amboh-e-ahl-e-zaḳhm to kab ka guzar chuka
ab rahguzar pe ḳhaak men ghaltida kaun hai
ai karb-na-rasa.i kabhi ye to ghaur kar
mere siva yahan tira girvida kaun hai
har shaḳhs dusre ki malamat ka hai shikar
aḳhir yahan kisi ka pasandida kaun hai
to azm-e-tark-e-ishq pe qaa.em to hai magar
tujh men ye chand roz se larzida kaun hai
Leave a Reply