subh har ujale pe raat ka guman kyuun hai
jal rahi hai kya dharti arsh pe dhuan kyuun hai
khanjaron ki sazish par kab talak ye khamoshi
ruuh kyuun hai yakh-basta naghma be-zaban kyuun hai
rasta nahin chalte sirf khaak udate hain
karvan se bhi aage gard-e-karvan kyuun hai
kuchh kami nahin lekin koi kuchh to batlao
ishq is sitamgar ka shauq ka ziyan kyuun hai
ham to ghar se nikle the jitne ko dil sab ka
tegh haath men kyuun hai dosh par kaman kyuun hai
ye hai bazm-e-mai-noshi is men sab barabar hain
phir hisab-e-saqi men suud kyuun ziyan kyuun hai
den kis nigah ki hai kin labon ki barakat hai
tum men ‘jaafari’ itni shokhi-e-bayan kyuun hai
Leave a Reply