kya kya navah-e-chashm ki ra.ana.iyan ga.iin
mausam gaya gulab ga.e titliyan ga.iin
jhuTi siyahiyon se hain shajre likhe hue
ab ke hasab-nasab ki bhi sachcha.iyan ga.iin
kis zehn se ye saare mahazon pe jang thi
kya fat.h ho gaya ki saf-ara.iyan ga.iin
karne ko raushni ke ta.aqub ka tajraba
kuchh duur mere saath bhi parchha.iyan ga.iin
aage to be-charagh gharon ka hai silsila
mere yahan se jaane kahan andhiyan ga.iin
‘az.har’ miri ghazal ke sabab ab ke shahr men
kitni na.i purani shanasa.iyan ga.iin
Leave a Reply