• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Be-Sabab Ho Ke Be-Qarar Aaya

Be-Sabab Ho Ke Be-Qarar Aaya

be-sabab ho ke be-qarar aaya

mere pichhe mira ghubar aaya

chand yadon ka shor tha mujh men

main use qabr men utaar aaya

us ko dekha aur us ke baad mujhe

apni hairat pe e’tibar aaya

bhuul baiTha hai rang-e-gul mira dil

partav-e-gul pe itna pyaar aaya

ek duniya ko chahta tha vo

ek duniya men us pe vaar aaya

saans leti thi koi hairani

main jise lafz men utaar aaya

kuchh na aaya hamare kaase men

aur aaya to intizar aaya

kab mujhe us ne iḳhtiyar diya

kab mujhe ḳhud pe iḳhtiyar aaya

bar-e-vahshat koi uThata kya

so digar baar dil pe baar aaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHat Uske Apne Hath Ka Aata Nahin Koi

Aisi Tanhai Hai Apne Se Bhi Ghabraata Hun Main

aisha-ayyub

Tum Se Aata Nahin Juda Hona

muTThi Mein Do-Chaar Nahin

poet

Jab Se dilbar Ne Aankh Phera Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet